Saturday, November 3, 2012

Lagti sachhi har ek baat


Nafrat ki oonchi dewar khadi hain
Irdh girdh mere iss toofan mein
Jal, aagh na hawa..naa toh kissi ke meethi baatien
Lagti sachhi
Iss zindagi ko kahaan lejaaun mai
Kisse samjhun aur kisse samjaaun
Aakhir sachhai ka saamna karna hai
Iss jeevan ke paap ko dhona hai
Nafrat ki oonchi dewar khadi hain
Irdh girdh mere iss toofan mein

Androoni awaaz naa kissi ko sunn na hai
Apne asoo khudh hi ko peena hai
Khushi ke pal..khilkhilata hassi
Aiise lagte hain jaise
Sukhe ped par kuch adh-sukhe patte
Jab gire… mitti mein mill jaaye
Nafrat ki oonchi dewar khadi hain
Irdh girdh mere iss toofan mein

Zindagi se ladte ladte…gyan batorna bhool gaye
Aaj mera asthitva bhi nahi hai
Kyon ki aaj tak ka kiya karaaya
Pyaar… muhobbat…kaam –kaaj
sabb daao par lag gaye
Jab mai  hi gir gayi apne nazaron mein
Sabb ek ek karke.. mitti mein mill gaye
Sabb mitti mein mill gaye!


No comments:

Post a Comment